mausam
Mausam aate hain mausam jaate hain
saal dar saal yuhin beet jaate hain
aur main.....
apni aankhon mein shunya se bhaw liye khadi reh jaati hu
wahin jahan kal thi, wahin jahan aaj hu, aur shayad hamesha rahungi
hakikat ki jamin par khwabon ke beej boti
bemaani bandhanon mein rishte dhoondhti
kabhi khud ko to kabhi auron ko dhoondhti
kabhi kal aaj aur kal ke fark ko samajhne ki koshish karti
to kabhi jajsbaton ke bhawnar me uthti doobti main.....
intezar karti hun ki kabhi to badlega waqt
kabhi to sunega khuda, karke gam jindagi se juda
bikhaer dega khushiyon ke rang jo rahenge hamesha sang
aur woh khushiyon bhare din main jiungi tumhare sang, apne sang
aur kahungi...
kya ye wahi main hu jo apni aankhon me shunya se bhaw liye khadi reh jati thi
shayad.....
mausam aaye, mausam gaye
saal dar saal yuhi beet gaye
aur main...
aankhon me kuch sapne, kuch khushiyan, kuch gam liye shayad kuch badal gayi
shayad yahi jindagi hai,
meri jindagi aur mujhe isse jina hai
hai na?
0 Comments:
Post a Comment
<< Home