Wednesday, January 18, 2006

Sach

Hoothon ki hansi dekh li andar nahi dekha
Yaaron ne mere gam ka samandar nahi dekha
Bhatki hu roshni ke liye kahan kahan
Afsos apne jism ke andar nahi dekha
Rishton ke tutne ka dard aap kya jano
Wo lamha kabhi aapne jeekar nahi dekha
Banwa to liya hamne shishe ka mahal
Par waqt ke haathon me pathar nahi dekha

3 Comments:

Blogger Unknown said...

apne gham ke samandar ko to dekh lete hain,
kabhi ashqon ke samandar ko peekar nahin dekha,
bhatke hain roshni ke liye woh jaane kahaan-kahaan,
is aag mein unhone jalkar nahin dekha,
Woh kehte hain dard ka lamha jeekar dekho,
naadan hain unhone kabhi markar nahi dekha,
waqt ke haathon mein pathar ko to dekha,
par pathar par likhi ibaarat ko padhkar nahi dekha.

4:20 AM  
Anonymous Anonymous said...

SHISHE KA MEHAL PATHAR IT LOOKS AS IF I HEARD THESE LAST 2 LINES BEFORE

3:39 AM  
Anonymous Anonymous said...

i raed all of ur poems but this my favorite.

2:53 AM  

Post a Comment

<< Home

Buzzer Hut | Promote You Blog