Wednesday, January 18, 2006

Koi baat nahi

Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahi
Tumhi ne dard diya hai to koi baat nahi
Kise majal ke kahe koi mujhko deewana
Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahi
Yahi bahut hai ke tum dekhte ho sahil se
Safina doob raha hai to koi baat nahi
Tumhi ne aaina ye dil mera bana dala
Tumhi ne todh diya hai to koi baat nahi
Mujhe ye darr hai kahin tum bhi saath chhod na do
Zamana chhod raha hai to koi baat nahi

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

THIS POETRY SHOWS SIGNS OF A GREAT POET

3:38 AM  

Post a Comment

<< Home

Buzzer Hut | Promote You Blog