Mere dard me tera sukoon kyun hai,
Mere jism pe tera junoon kyun hai.
Door hai tu itna ki tujhe dekh bhi na sakun,
Phir bhi tera ehsaas char su kyun hai.
Meri muskurahate shuru hoti hai tujhse,
To phir aaj mere aasuaon ki tu wajah kyun hai.
Tere aane se pehle bhi to thi zindagi meri,
Aaj phir tujh bin suni kyun hai.
Leke tera naam to na jagte the hum,
To is raat silwaton me tera aks kyun hai.

7 Comments:
iron kar de na rahega silwat na hi aks... so simple...
thanks thakur. wo kya hai tere jaisi intelligence nahi thi aur na hi iron thi warna silwatein wakai nahi hoti.
VERY WELL WRITTEN
Teri mohabat ka ye mujhe junoon kyun hai,
Aaj mera dard mujhse roo-baroo kyun hai,
Jaanta hoon ke tu ab meri zindagi mein nahi,
Magar fir bhi aaj mujhe zindagi ki aarzoo kyun hai......
i loved this poem of yours.....its very well expressed....
To is raat silwaton me tera aks kyun hai.
YAHI SABSE KHUUBSURAT LINE HAI....
thanks parul
Post a Comment
<< Home