Saturday, January 20, 2007

Yaadein


Kabhi behte hue dard mein,
Kabhi thehre pani sard mein,
Kabhi jheel ki gehrai mein,
Kabhi raat ki tanhai mein,
Har patthar mein,har deewar mein,
Kabhi apne hi shringar mein,
Tera chehra cha sa jata hai,
Aur teri yaad dilata hai,
Mujhe sab kuch bhul jata hai,
Phir dard sa jagne lagta hai,
Kuch sard sa lagne lagta hai,
Phir parchayian bolti hain mujhse,
Aur tanhayian sisakne lagti hain,
Phir dard mera gehrata hai,
Aur saanse rukne lagti hain,
Jab yaad tumhari aati hai,
Main deewani ho jati hun,
Bas waqt sarakta rehta hai,
Main beete lamhe jeeti hun,
Tum door to mujhse itne ho,
Kyun bhool tumhe nahi pati hun,
Yaadon se tumhari main,
Khud apne dil ko tadpati hun,
Phir sochti hun kabhi kabhi,
Ye yaadein hain yaad aayengi,
Na jaane kyun aur kab tak,
Mere dard ko sehlayengi,
Yun waqt ka dariya behta hai,
Ek din to wo bhi aayega,
Yeh aata jaata waqt meri,
Yaadon ko baha le jayega,
Main nae rang nae sapno mein,
Inhe lesh matr na paungi,
Jhumungi main zindagi mein,
Ek din to mukt ho jaungi.

18 Comments:

Blogger a K g said...

Ik tanhayee hai tere shabdon mein
kiski ki talash hai teri aankhon mein
dooor kshitij par kis ka intezaar hai
ho na ho tera dil kissi aur ke paas hai

Tu ek parchaayee ke peeche bhaag rhi hai
samjh le yeh mohabat ik gunah hai
jisne ki woh ik gunehgar hai
dard teri aankho se niklega
bandh aankho se bhi woh hi sab dikhega

1:11 AM  
Blogger AK said...

tanhai me main hun to mehfil-e-jaan tu bhi nahi hai,
humsafar talashti hun main to manzil par tu bhi nahi hai,
intezar karta hai gar dil mera to sukoon tujhe bhi to nahi,
dil jo gum hai mera to dhadkan to tere seene me bhi nahi,
agar parchai nahi milegi mujhe to aks tujhe bhi haasil nahi,
gar ishq hai gunah aur gunahgaar hain hum,
to is gunaah se daaman tera bhi paak saaf nahi,
dard to ab hissa hai iss jism-o-jaan ka,
uska darr ab humko raha hi nahi,
tasalli hai hame ke band ankhon se dikhta hai wo,
khuli aakhon ko nazara jo milta hi nahi

2:49 AM  
Blogger a K g said...

aasmaan se zameen pe tumhein bhej kar us khuda ne ik khataa kar di,
ik achchi surat ke saath ik achchi seerat bhi di hoti,
roshan chehre ke saath ik roshan dil bhi diya hota,
roshan naa sahi kam se kam dil toh diya hota....

4:52 AM  
Blogger AK said...

khata jo ki khuda ne wo saza hai ab tumhari
achchi hai ya buri hai yahi surat hai hamari
seerat jo mili humko achchi hai na buri hai
ye raah jeene ki khud humne hi chuni hai
roshan sa ye chehra dekha par ye na jana
iss roshni ke liye humko pada apna dil jalana
har roshni ke peeche andhera hi daba hoga
zara jhaanko tum bhi khud me, wo dil bhi jala hoga

1:34 AM  
Blogger a K g said...

izhaar kar apni tamanna ka
main sun rhaa hoon tere khwabon ko
baitha hoon tere pehlu mein jataa apni khwahishon ko
khuli hai jab tak ankhein meri mat rok apni baaton ko

khushi naa sahi gham toh baant sakta hoon tere
phool naa sahi kaante toh chun sakta hoon tere

Mere lafzon mein dhoondh lena apna aks kabhi bhi
mil jayegi teri khushbhu meri sanson mein abhi bhi
tere ashqon ke liye mere dil mein jagah ki kami nahi kabhi bhi
darti nahi is zamane se gar toh parwah mujhe bhi nahi is zamane ki

3:17 AM  
Blogger AK said...

kaash ke tamannaon ka izhaar kiya jaata
jo sochte khabon me wo keh bhi diya jata
pehlu me baith jaye har koi ye kahan mumkin
khwahishon ko gungunaye aisi bhi koi dhun
aankhein hi bolti hain sun le agar ye boli
hothon ki bhasha to zamana bhi samajhta hai
gum hi nahi daaman me, khusyian bhi beshumaar hain
tu chun le wo phool jo nagma-e-bahar hain
tere lafzon me mera aks galatfehmi hai teri
saanson me jo khushbu hai kabhi thi hi nahi meri
ashqon ke safar ko tu kya panah dega
tu ek adhure dil me mujhe kya jagah dega
darta nahi zamane se yeh kehta hai tu
phir chehre pe chehra liye kyun jeeta hai tu

9:55 AM  
Blogger a K g said...

Tujhe kis baat ka shikwa hai mujhse
jaanti hai yeh, naaraz hai tu khud apne aap se
gar koi haath badaye mohabat ka
toh tham le usse chahat se
maana shiddat hai tere pyar mein
dil-o-jaan se chaaha tha usse tune
naa kadar ki usne teri mohabat ki
par ab jo raah chuni hai tune jeene ki
uska rahi chahe naa ban sakoon
par duayein meri rahengi teri humrahi...
dard hai gar tere seene mein toh dekh us kinaare ko
jo khada hai lehar ke intezaar mein
sadiyaan beeet gyee issi tarah uske payar mein
fir bhi woh tanha hai, naa karta hai shikwaa kissi se
janta hai ik din yehi lehar todegi ret ke gharonde uske...

8:29 PM  
Blogger AK said...

mujhe shikwa na tujhse, na shikayat hi khud se
naraaz kabhi kabhi bas ho jati hun rab se
koi haath mohabbat ka badh kar jo tham lun main
darti hun dil tutega to kaun dar jaungi main
jisse mana rab maine usne bhi thokar maari
phir umeed kaise karun duaein kaam aayengi tumhari
bewafai se uski nahi pal bhar ko bhi main vichlit
ye to yaadein hain uski besukooni ka sabab hamari
iss pyar me, intezar me sadiyan bhi bahut kam hain
unke ek pal ke liye hum srishti chhod de saari
ab jo khade kinaron aur gharondon ki kehte ho tum
wo kaunsi duniya hai jisme rehte ho gum
lehre to hamesha se samandar ki hi rahi hain
kinare chahe choo lein samandar me hi milti hain
chahne se agar unko paa sakti mohabbat raahein
har ek gali me ae dost ek naya kinara hota

12:44 AM  
Blogger Unknown said...

Maine bhi suna tha mohabat mein dard hota hai,
har din is dil pe ik sitam hota hai,
phoolon ke saath kaante bhi hote hain,
kuch log dard byaan kar dete hain,
kuch khamosh reh kar zeher pee jaate hain...

Teri hasti main pehchaan chuka hoon,
choom loon tere haathon ko jo us bewafa ke sajde mein uthte hain,
tere lab khamoshi bhara zehar bhi piye jaate hain,
maana uff bhi nahi karegi tu
tere issi baat ke toh hum kayal hue jaate hain...

Tujhe Meera kahoon yaa Radha,
beh rhaa hai woh teri rago mein lahoo se zayada,
maut bhi tujhe mukt nahi kar payegi,
kya zinda reh kar bhi woh sukoon....payegi,
tera milan hi teri mukti ka sabab banega,
us din sitaare bhi jagmaga utheinge,
aur hal pal har soo tera hi nazara hoga...

2:14 AM  
Blogger a K g said...

Kyun chale jaate hain sab tanha chod kar,
Khule darwazon ka munh modh kar,
Ghul si jaati hai sayahi bhi hawa mein,
Apni bhi parchayee nazar aati nahi andhero mein,
Jam sa jaata hai waqt bhi,
Chalti rehti hai saans fir bhi,
Dard ka ehsaas bhi ab toh hota nahi,
Koi rukne ki koshish kyun karta nahi,
Jawabo sawalo mein uljh ke reh jaati hai zindagi hamari,
Tum galat the, main sahi tha yehi zid hai hamari,
In galatfahmiyon ki kab jayegi buri aadat hamari,
Ab toh kissi ki god mein sir rakh ke sona hai mujhe,
Toote sapno aur bikhre motiyon ko jodnaa hai mujhe,
Ab tere begair jeena hai mujhe,
Par yehi sochta hoon,
Kat toh jayegi tere bin, par badi tanha aur udaas guzaregi….

11:51 PM  
Blogger AK said...

jab chale jaayein sab tanha chhod kar
khule darwazon ka bhi muh mod kar
jab ghul si jaye hawa me syahi
aur dhunde na mile tujhe apni hi parchai
jab waqt tham jaye
aur saans phir bhi aaye
jab dard ka ehsaas tujhe aur na daraye
jab rukna bhi chahe to log ruk na paayein
jab har jawaab pe zindagi naya sawaal laye
jab galatfehmiyan rishton me jagah banaye
aur rone ko kisi ka kaandha bhi na paaye
jab bikhre moti ek taar me tu piroye
aur doston ke bagair hi sapne sanjoy
tab ek baar meri ye baat maan lena
jo hai jaisa bhi hai kyun hua jaan lena
tum sab se pehle mann me jhak dekhna sach kya hai
jo jane de rahe ho wo dost kya sacha hai
jab tak mann na maane tum haar nahi mano
jise apna jaano usse pane ki thano
todne me jinko lagta nahi ek pal bhi
wo rishte banane me tumne shayad umar gawai saari

12:19 AM  
Blogger a K g said...

jis rishtey ko maine apna maana tha woh mera kabhi tha hi nahi,
jiske intezaar mein umar guzari humne woh ik pal ka mehmaan bhi nahi,
rok toh leta main, usne meri rukne ki baat maani nahi,
woh naye jahan ki talash mein tha,
mere jahan ka woh bashinda tha hi nahi,
chaha tha sanjo ke rakh loon use apne daaman mein,
par uske naye pankh le gaye usse kahin....

3:44 AM  
Blogger a K g said...

do aansoo gira kar unhone kiya izhaar apni galti ka,
kaha bhool jao sab kuch apne atteeet ka,
woh saare pal chin jin mein main akele royaa,
apne aap se ladte hue, naa ik pal bhi main soya
meri wafa ko bhi taar taar kar diya,
main bewafa tha dosti mein pal bhar mein keh diya,
ab dobaara kaise yakeen karoon, unki har baat ka

10:00 PM  
Blogger पारुल "पुखराज" said...

wah

8:50 AM  
Blogger Unknown said...

kisi ne kaha hai
aapki yaad kaise ayegi aap yeh kyun samaz na pate hain
yaad to unki aati hai jinhe hum BHOOL jate hain

9:10 AM  
Anonymous Anonymous said...

Hii...sanjay here..your creation is a great great...I am taking these line for my Orkut..Thanks..

11:14 PM  
Blogger AK said...

thanks sanjay. though wen i wrote them i had no idea sumone will like them so much. :)

11:19 PM  
Blogger AK said...

Thanks boss, but i'd like to know who u r.

9:21 AM  

Post a Comment

<< Home

Buzzer Hut | Promote You Blog