Yaadein
Ek uljhi hui zindagi hai,
Kuch apne jo bichde hain.
Ek dil se uthti aah,
Aur kuch sapne jo bikhre hain.
Ek halki si muskurahat jo kahin kho si gai hai,
Kuch aansu hain jaise aaine ke tukde hain.
Sanson me ab bhi kuch khushboo si baki hai,
Aankhon me ab bhi pal wo thehre hain.
Chehra wo ab bhi in palkon me band hai,
Kaano me gunjte shabd kuch gehre hain.
Yaadien tumhari ab bhi rulati hain humko,
Khwabon me hum ab bhi tera aks chumte hain.
Jaante hain hum ke tum ab laut kar nahi aaoge,
Raahon me tere nishan phir bhi hum dhoondte hain.