Wednesday, March 28, 2007

Naa ja

Naja naja chhod kar ta-umr chillati rahi
Aane wali zindagi meri intezar me jati rahi
Jise bhi apna samjha cheen usse liya rab ne
Bharosa phir bhi khud par rakh kar
Main jhuti umeed bandhati rahi
Tham leta jo mujhko bahon me apni bhar leta
Chumta mastak mera aur goad me phir dhar leta
Aise ek shaks ko main baar baar bulati rahi
Naja naja chhod kar ta-umr chillati rahi
Mushkilein aai hazar, nahi dikha mujhe koi dwar
Tanhai ke saanaton me, gaye maine malhaar
Sabr kiya to bahut tha maine, phir umeed jati rahi
Naja naja chhod kar ta-umr chillati rahi
Kar bhala, bhala hi hoga, yahi to sunti aai main
Zindagi bhar gham samete, kya nahi bhalai ye
Muskurahate hi baati, zeher ka har ghunt pi
Ab to meethi lagne lagi hain aansu ki har boond bhi
Ab to koi mujhko thame, ab to koi ye kahe
Thak gaye hain honth tere kabse muskate hue
Thoda sa tu ro le ab to, aa main apni goad dun
Chain se tu soja kuch pal, sang tere main jo hun
Baith kar jiske kinare, doobti hi jaun main
Naja naja chhod kar phir nahi chillaun main

Monday, March 19, 2007

Mera dard tere dard se bada to nahi hai,
Jo dil se nikli hai tere dua to nahi hai,
Seene me dafn thi mere ye saanse kabhi se,
Jo tune baha di hai wo hawa to nahi hai,
Har cheez mil jati hai dhundo jo shiddat se,
Jo mil na saka wo kahin khuda to nahi hai,
Hum khudko dhundte hain jiski har ek nazar me,
Wo sukoon-e-jigar mera bewafa to nahi hai,
Anjaam mohabbat ka hum roz sochte hain,
Kahin hum jo kar baithe hain wo gunah to nahi hai.
Buzzer Hut | Promote You Blog