Hamsafar
Tum pyaas ho, paani nahi
Tum shabd ho, maani nahi
Tum kissa ho, premkahani nahi
Tum jismaani ho, ruhaani nahi
Tumhe mehfilon ka shauk hai
Mujhe tanhai ki talaash hai
Mujhe ek sanam koi chahiye
Tumhe saikadon ki talaash hai
Kuch kehkahon ke vaaste
Tumhe dost chahiye nae nae
Kuch taalliyon ke vaaste
Tumhe log chahiye nae nae
Tum gard ho, hawa nahi
Tum dard ho dawa nahi
Mujhe andheron me bhi sukoon mile
Tumhe roshni ki talaash hai
Tum jahilon ki jaan ho
Tum har ek par meherban ho
Tumpe phekte hain dil sabhi
Zor dete hain milo kabhi
Tumhe jism ka gurur hai
Tumhe adaon ka fitoor hai
Tum hasin nahi khayal se
Tum par uthtein hai kuch sawal se
Mile tumse kaise meri nazar
Banun kaise tumhara hamsafar
Mera manzilon se hai vaasta
Tumhe raaston ki talaash hai
Tum shabd ho, maani nahi
Tum kissa ho, premkahani nahi
Tum jismaani ho, ruhaani nahi
Tumhe mehfilon ka shauk hai
Mujhe tanhai ki talaash hai
Mujhe ek sanam koi chahiye
Tumhe saikadon ki talaash hai
Kuch kehkahon ke vaaste
Tumhe dost chahiye nae nae
Kuch taalliyon ke vaaste
Tumhe log chahiye nae nae
Tum gard ho, hawa nahi
Tum dard ho dawa nahi
Mujhe andheron me bhi sukoon mile
Tumhe roshni ki talaash hai
Tum jahilon ki jaan ho
Tum har ek par meherban ho
Tumpe phekte hain dil sabhi
Zor dete hain milo kabhi
Tumhe jism ka gurur hai
Tumhe adaon ka fitoor hai
Tum hasin nahi khayal se
Tum par uthtein hai kuch sawal se
Mile tumse kaise meri nazar
Banun kaise tumhara hamsafar
Mera manzilon se hai vaasta
Tumhe raaston ki talaash hai