Thursday, January 26, 2006

Don't

Don't pretend to be what you are not,
Don't refuse to be what you are.
Don't imagine and assume identities.

Wednesday, January 18, 2006

Koi baat nahi

Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahi
Tumhi ne dard diya hai to koi baat nahi
Kise majal ke kahe koi mujhko deewana
Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahi
Yahi bahut hai ke tum dekhte ho sahil se
Safina doob raha hai to koi baat nahi
Tumhi ne aaina ye dil mera bana dala
Tumhi ne todh diya hai to koi baat nahi
Mujhe ye darr hai kahin tum bhi saath chhod na do
Zamana chhod raha hai to koi baat nahi

Sach

Hoothon ki hansi dekh li andar nahi dekha
Yaaron ne mere gam ka samandar nahi dekha
Bhatki hu roshni ke liye kahan kahan
Afsos apne jism ke andar nahi dekha
Rishton ke tutne ka dard aap kya jano
Wo lamha kabhi aapne jeekar nahi dekha
Banwa to liya hamne shishe ka mahal
Par waqt ke haathon me pathar nahi dekha

Hum bhi uske the par.......

Manzil bhi uski thi
Raasta bhi uska tha
Main hi akeli thi
Kafila bhi uska tha
Saath saath chalne ki soch bhi uski thi
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha
Ab aksar dil tanhai me ye sawaal karta hai
Ke log to uske the par kya khuda bhi uska tha
Buzzer Hut | Promote You Blog